Engineering Shayari

Physics shayari:- 

Focus mein aayi woh pehli bar,
 Ishq ka force laga dil pe yaar,

Mirror image hi sahi, 1 baar toh dikh jaye.
cooker ki trah meri bhi heat transfer ho jaye....

jab usko phli bar 80 m lengh & 50 m height ki balkony se dkha
to average speed me mere dil ka momentum hone laga
Pyar current sa dil mein behne laga
Main uske magnetic field mein rehne laga.

Dua hai meri usse kabhi collision ho jaye.
Aisa torque lage usse ki woh unstable equilibrium ho jaye.

Pyar ka shock usse bhi lag jaye..
High kinetic energy se woh mere galey lag jaye

Warna uranium nucleus sa toot jaunga.
Free falling body sa building se kud jaunga :D :P

Engineer kya hai:

Engineer Woh Hai Jo Pak Gaya Hai
Meetings Ki Jhelai Mae
Submissions Ki Gehrai Mae
Teamwork Ki Chatai Mae
Engineer Woh Hai Jo Laga Rahta Hai
Schedule Ko Failane Mae
Targets Ko Khiskaane Mae
Roz Naye-Naye Bahane Mae
Engineer Woh Hai Jo
Lunch Time Mae Breakfast Karta Hai
Dinner Time Mae Lunch Karta Hai
Commutation Ke Waqt Soya Karta Hai
Engineer Woh Hai Jo Pagal Hai
Chai Aur Samose Ke Pyar Mae
Cigeratte Ke Khumar Mae
Birdwatching Ke Vichar Mae
Engineer Woh Hai Jo Khoya Hai
Reminders Ke Jawaab Mae
Na Milne Wale Hisaab Mae
Behtar Bhavishya Ke Khwaab Mae
Engineer Woh Hai Jise Intezaar Hai
Weekend Night Manane Ka
Boss Ke Chhutti Jaane Ka
Increment Ki Khabar Aane Ka
Engineer Woh Hai Jo Sochta Hai
Kaash Padhai Pe Dhyaan Diya Hota
Kaash Teacher Se Panga Na Liya Hota
Kaash Ishq Na Kiya Hota
Aur Sabse Behtar To Ye Hota
Kambakht Engineering Hi Na Kiya Hota


No comments:

Post a Comment

comment here....